swacch bharat abhiyaan
SWACCH BHARAT ABHIYAAN
JAI HIND BHARAT MATA KI JAY
Namaste salmaan sir
Ye kahani he ek bhai aur ek bahen ki lekin ye log sage bhai bahen nahi he lekin sage bhai bahen se bhi jyada ek dusre se pyar karte he bhai jab akela tha tab uske paas jineka koi maksad nahi tha lekin uski bahen milneke baad usko jindagi jineka ek maksad mil gaya uske liye apni bahen ki khushi ke alava aur kuch bhi nahi he uske liye wo sab kuch karne ko tayyar he apni bahen ki khushi ke liye jaan de bhi sakta he aur kisi ki jaan le bhi sakta he bhai ko galat kaam karne walo se kafi nafrat hoti he wo galat chij hote huye nahi dekh sakta wo apni bahen ko ek aise mukaam tak le jaana chahta he ki kabhi bhi koi bhai ne apni sagi bahen ke liye bhi itna nahi kiya hoga lekin bhai ko kaafi mushkile kaafi kathnaahi ka samna karna padta he fir bhi bhai haar nahi manta he aur apni bahen ko oos mukaam tak pahochaata he bhai ke uske teen dost bhi uski madad karte he aur antme unki jeet ho jaati he .
Ye kahani ni ke jariye me ye batana chahta hu ki hamare P.M. NARENDRA MODI SIR ek swacch bharat abhiyaan laye the hame bhi wahi karna he hame hamare bharat ko swacch bharat banana he kyu ki kaafi gandaki ho gayi he bharat me hame wo gandaki Saaf karni he aur bharat ko swacch banana he taaki sabhi log khushi se apne apne parivar ke saath rah sake.
To hum kaise swacch bharat banaye uske upar kuch mudde he jo me aapko is kahani ke jariye batana chahta hu aur ye kaam aur koi nahi balki bhai aur unke dost milke ye misshion pura karte he ye misshion karne ke liye wo log apni jaan bhi daav pe laga dete he aur ye misshion pura karte he.
Ye kahani he hamare Mumbai saher ki jahapar sabhi tarah ke log rehte he kuch log jo acche he aur kuch log jo bure he to bure logo me pahle wo log he jo anath baccho ko leke jaake unki aakhe nikal dete he unko appahij bana dete he kisi kisi ke to hath per bhi kaat dete he unse train ke under railway station traffic signals badi industry badi market par bhik mangvaate he aur unke saath kaafi bedardi se pesh aate he agar koi bhi unse chaalaki karne ki koshish karte he to wo log unko maar dete he .
Dusre wo log he jo choti choti bacchi se dhanda karvate he aur kuch ladki ko bahar desh me transfer karte he aisi bahot saari country he jo choti bacche ke saath ganda kaam karte he un logo ko aisa karke kuch bhi farak nabi padta he balki aisa karke un logo ko khushi milti he wo log unki majburi ka faayada uthate he hamare desh ke log aisa kaam karne me unki madad karte he kuch rupyo ke liye lekin unhe ye samjame nahi aata he ki un ladki yo par kya gujarati hogi kitni taklif kitna dard kitni pida aur kitni mushkeloya ka samna karna padta he inme sirf inki galti nahi balki ye oon logo ki galti he jo bacche ko janm deke chod dete he kuch log paiso ke khatir apni ladki ko bech dete he aur kuch log ladki ko apne pyar me fasa ke bech dete he aur unse dhadha karvaate he isme is ladkiyoka kya kasur he unko kis jurm ki saja milti he aisa ladkiyo ke saath kyu hota he kya hum ise badal nahi sakte kya hum in logo ko in saitaano se chhuda nahi sakte taaki wo bhi ek aam jindagi jiye dusri ladkiyo ki tarah wo bhi khushi banaye.
Tisre wo log he jo bank me badi badi loan leke bade bade ghotale karte he aur paisa leke dusre desh bhag jaate he un logo ke uper koi bhi karya vahi nahi hoti he aur idhar ki government bhi kuch nahi kar sakti isme bichaare garib log mar jaate he wo log bichaare apni jindagi ki kamai bacchoko padhane baccho ki shaadi karvaane ke liye bank me paise jama karte he aur aise log unka paisa leke bhag jaate he aakhir inka jimmedar kon he bank vaale yaa government koi koi to fake call karke online transactions kar lete he aur unke account mese paise chura lete he.
Chouthe wo log he jo government servant he jo garib logo ko pareshaan karte he inme pahle government hospital government daftar government school collage university har jagah corruption chalta he unko bolne wala koi bhi nahi he government me jo choti post vaale he jo retired ke baad apne hi paiso ke liye daftar ke chakkar lagate rehte he aur vaha ke karm chaari unke hi paise dene ke liye unse paise lete he tab jaake unko unka hisaab milta he agar koi paise nahi dete he to wo log unko daftar ke chakkar khilate rahte he ye kaisa inssaf he jo log jindgi bhar government ki seva karte he unko upnaahi hak ka paisa lene ke liye das baar unke hath pair Jodne padte he aur unke saath wo log unse badsaluki karte he badi post vaale chan rupyo ke liye unko bahot satate he agar koi emergency aa gayi ho to jaise baccho ki fees shaadi ka kharcha hospital ka kharcha ho to bhi ye log unki ek nahi sunte ye kaha ka insaaf he is system ko badlne wala akhir kyo nahi he is liye hame ye system badlana he.
Pachve wo log he jo padhai ke naampar lakho rupyo ka donation lete he aur unko bolne wala koi bhi nahi hota he kyu ki yahapar khud government inka saath deti he isme bade bade political bade bade maafiya padhai ke naampar ye vyaapaar chalate he in logo ke saath puri system mili hoti he abhi aap hi batao ek garib insaan in logo se kaise ladh sakta he in logoka koi kuch bhi nahi bigaad sakte ham naa chaah kar bhi dusro se karja leke yaa apna ghar bar bechke apne baccho ke liye donation dena padta he itna sab kuch karne baad jab bacche padhte nahi he yaa padhte ke baad jab kuch ban jaane ke baad maa baap ko bhul jaate to unke maa baap ke upar kya gujarati hogi unke paas marne ke alava aur koi rasta nahi bachata he kyu jindagi ki puri punji apne bacche ki padhai ke upar laga dete he kuch maa baap to ghar girvi rakh dete he ghar girvi rakh dete he kis maa baap ke paas donation dene ke liye kuch nahi hota he to wo log apni kidni bhi bech dete he lekin apne baccho ko padhate he.
Cchatte wo log he jo sabse khatarnaak he wo log he gang maafiya under word don aur politicals jitne bhi bure kaam he jaise ki dange karvana kiska khun karva na drugs smuggling karna bomb blast karva na kisi ki supaari lena kisi garib ke khet Jabar jasti hadap kar lena do number Ke paiso ki hera feri karna aur unke bete jo hote he wo kisi bhi ladki ko apni jaagir Samjana kisi ke bhi saath rap karna aur rap karke cchut jana inko bolne wala koi bhi nahi he agar koi inke khilaf avaaj uthata he to unko raste se Saaf kar dena.
Idhar hamada first part khatam hota he.